ae maalik tere bande hum
aise ho humare karam
nekee par chale, aur badee se taley,
takey huste huey nikley dum
ye andheraa ghanaa chhaa rahaa,
tera insaan ghabara rahaa
ho rahaa bekhabar, kuch na aata najar,
sukh ka sooraj chupa ja rahaa
hai teri roshni mein jo dum
to amawas ko kar de poonam
bada kamjor hain aadmi,
abhi laakhon hain is mein kamee
par tu jo khadaa, hai dayalu bada,
teri kirpa se dharti thami
diya tune humey jab janam
too hee zelegaa hum sab ke ghum
jab julmon ka ho saamnaa,
tab tu hi humey thaamnaa
voh burai karey, hum bhalai bharey,
nahi badley ki ho kaamnaa
badh uthey pyaar ka har kadam
aur mitey bair ka ye bharam
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
my mom n me often sing this prayer when we moving arnd in car or roaming at some sooo damn good place ki bhagwaan ki yaad aa jaye (for HIS/HER creativity) :P
i love this one...
Post a Comment